CHAPTER-10{Melanin pigment}
Wo reports kya thi .. ab aage Reports mein tha ki mera "MELANIN PIGMENT " bahut hi kam ho chuka hai , aur meri body iss pigment ko ab kaafi less amount mein produce kar rahi hai . "Ye akhir melanin pigment hai kya ? well jaesa ki aap agar paid(tree) ki pattiyon(leaves) ko dekhein to zaydatar hari(green) hoti hain . Aesa is liye hota hai ki pattiyon ke andar ek aesi cheez payi jati hai jo usko hara color deti hai . Aur uss cheez ka naam hai " Chlorophyll " . Theek isii tarah se insaanon ke andar bhi ek aesi cheez payi jati hai jo ki yah decide karti hai ki insaan ki skin ka kaun sa color hoga aur usi cheez ko "melanin pigment " kaha jata hai . Is melanin pigment ka ek aur kaam hai ki , yah skin ko sunlight(suraj ki roshni ) se pahuchne wale nuksaan se bachata hai . Yahi wajah hai ki Africans mein melanin bahut zayda paya jata hai kiyunki wahan sooraj kaafi tez hota hai . Aur isi liye unke skin ka color dark hota hai ." Khair jab do...